Thursday, August 29, 2013

Jab kabhi mein zindagi ke bare sochu
Tumhari khyaal aati hai
Zinda toh mein pehle bhi tha
Par zindadili toh tumhare aane se aayi hai.


Tumne mujhe jeena sikhaya
Zindegi ko ghol kar peena sikhaya
Nasha toh kaafi cheezo ka tha
Zindegi ka nasha karna tumne sikhaya.
Kabhi waqt thera thera sa hai
Aur kabhi waqt hai hi nahi
Waqt ke in lehro mein tairna toh aata tha
Par in lehro mein jhooma pehle kabhi nahi. 

Us jeet ke shikhar se 
Khushiyo ke badal saaf dikhte hai
Mushkil daur ke sookhe mein baadal khoje toh the
Par is banjar zameen se baadalo ke dekhna tumne sikhaya. 

Zindegi se ladti zindegi se haarti
Zindegi se naraaz hokar use nakaarti
Zindegi ke us daur mein thak kar haar toh gaye
Par zindegi ko dusre daur mein deti tum chunauti. 

Tumhare is zindegi ko
Tumhare zindadili ko
Tumhare alfaaz, tumhare andaaz ko
Mein karta hu salaam
Tohfah, toh sabke liye hai, tum mere liye ho inaam.

(Written by Prasanjit Saha)
(The pic taken from inside the airplane (C)Prasanjit Saha)





Copyright Protected by Prasanjit Saha | Business Association with Tohfah4u - Facebook Page (c) 2013.